Asahyog aandolan (1920 - 1922)
Asahyog aandolan easy notes for competition.
🌑 Asahyog aandolan kya tha?
Asahyog aandolan Mahatma Gandhi ke netrutva mein chalaya Gaya ek ahinsak aandolan tha.
Iska uddeshy angreji shasan ka sahyog na karna aur unhe Bharat chhodane ke liye majboor karana tha .
🌑 Asahyog aandolan ki suruaat .
Varsh: 1920
Karan :
⚪ Jaliyavala bhag htaya kand .
⚪ Rolet acet
⚪ Khilafat aandolan
🌑 Aandolan ke uddeshy.
1. Angreji shasan ka bahishkar..
2. Swaraj (swa - sashan) ki prapti.
3. Bhartiyo mein rashtriy Ekta paida karna.
🌑 Asahyog aandolan ke karykram.
⚪ Sarkari school ,collego aur Adalato ka bahishkar.
⚪ Videshi vastuo ka bahishkar.
⚪ Charkha chalana aur khadi apnana.
⚪ Sarkari upadhiyo ka tyag.
🌑 Aandolan ki vapasi.
⚪ 1922 mein chora - chori kand ke bad.
⚪ Hinsa hone ke Karan Mahatma Gandhi ne Aandolan wapas le liya.
🌑 Asahyog Aandolan ka mahatva.
1. Pahli bar Janata Ne Bade star per bhag liya.
2. Swatantrata Aandolan ko Jan Aandolan ka roop Mila.
3. Gandhi ji ka netrutv pure Desh mein sthapit hua.
🌑 Nishkarsh
Asahyog Aandolan bhale hi bich mein samapt ho gaya , per isane bhartiyon ko swatantrata ke liye sangathit aur jagruk Kiya.
Thank you for watching ❤️
Comments
Post a Comment